This is probably one of the most random things I've ever written. It's about how I'm all confused about what I want from life, what I need in life. I think quite a few people will be able to relate to the sentiment.
Jaane kis talaash mein hai ye dil
Jo mujhse bhi na keh paaya
Jaane kaunsi aawaaz sunna chahta hai
Jise sune bina bhi na reh paaya
Jis raah pe chalna chahta hai
Wo raah dikhti nahin hai
Jis manzil tak pahunchna chahta hai
Wo manzil milti nahin hai
Koi chaahat hai jise samajh nahin paata
Ek roshni ki kiran jise dekh nahin paata
Talaash hai phir bhi ek aasre ki
Jis aasre ko dekh kar bhi pehchaan nahin pata
No comments:
Post a Comment