Showing posts with label Poetic Musings. Show all posts
Showing posts with label Poetic Musings. Show all posts

Monday, March 23, 2009

Kabhi

Koi apna kabhi begaana sa ho jaata hai
Koi door se aa ke apna ban jaata hai
Zindagi mein jagah to bahuton ki hoti hai
Dil kisi ek ka aashiyaa ban jaata hai

Tuesday, February 24, 2009

Dil Darta Hai

Dil darta hai mohobbat ke bina jeene se
Mohobbat mile to mohobbat karne se darta hai
Tanhaai mein zindagi guzarti nahin hai
Humsafar mil jaaye to marne se darta hai

Wednesday, February 4, 2009

Koi...

Kabhi koi zindagi mein aa jaata hai
Aur hum sochte hain ki uske bina zindagi kya thi
Dil ko dard aur aankhon ko aansoo de jaata hai
Phir bhi sochte hain ki uske bina khushi kya thi

Keemat Khushiyon Ki

Gham jo na deti zindagi
To keemat kya reh jaati khushiyon ki
Sapna har ek sach ho jaata
To jagah kya hoti khwahishon ki
Paani jo na behta aankhon se kabhi kabhi
To muskuraane ki khushi kya hoti
Tapti dhoop kabhi na jalaati zameen ko
To thandak kya reh jaati baarishon ki

Kabhi...

Kabhi aapne jaana hi nahin ki kitne aziz ho humko
Kabhi socha hi nahin ki aap kaun ho hamaare
Kabhi dekhi hi nahin hamaari zindagi mein apni jagah aapne
Mehsus na ki wo mohabbat jo samaa na payi dil mein hamaare

Just felt a little poetic today, and remembered that I hadn't written any poetry in a while. This is not dedicated to anyone in particular.

Friday, January 30, 2009

Of Bhatti And His Welfare

I'm not sure exactly when the words farewell and welfare came to be used interchangeably, but somehow they did.

There's not much I have to write about
Bhatti today, because I already covered most of it in the birthday post I wrote for him. Just a few little things I want to add on this occasion, when he's left the team and has ceased to be my cubicle neighbour.

Bhatti claims that he does not like kadhi chawal at all, but always eats a lot of it when they make it in the cafeteria. Now we actually wanted to organize his farewell lunch in the cafeteria and put in a special request for his favourite dish. But somehow the chef at the restaurant where we eventually went sensed everything, and added kadhi to the buffet.

I think all of us who went to Manali will always remember his rendition of Zehreeley Zehreeley for the rest of our lives. It was just too hilarious for him to even get to the words Zehreeley Zehreeley.

When I was in my first year of post graduation, I was asked to co-host the farewell for the outgoing batch. I was at a loss on how I should start off the show. A senior of mine told me that, being the kind of person I was, it would be well suited if I started off with a few lines of poetry. Now I somehow cannot think of a better way to wind up this post. Here are the lines I wrote (yes, I wrote these myself) for that occasion.

Jo manzilein tumhaari hain
Wo manzilein meri nahin
Hain raahein kahin tumhaari
Meri kahin
Jo lamhe saath guzaare unki khushi hai
Aaj mujhe judaai ka gham nahin


All the best, Bhatti, for whatever you choose to do, wherever you choose to go.

Monday, October 27, 2008

Ae Zindagi...

The month is almost out and I haven't written anything poetic in October! I will not let my poetic streak die!

This one is addressed to life and to the forces of Nature that control it.

Kabhi phoolon se hamaari raahein mehkaai
Kabhi pattharon pe chalna sikhaya tune
Kabhi khushiyon se daaman bhar diya
Kabhi aansoo peena sikaya tune
Jab humein andheri lagne lagi ye duniya
Kabhi chaand to kabhi suraj dikaaya tune


Sometimes I write just so my creative streak stays alive. With all the festivities, I did not find time to start work on my book this weekend but I made it a point to utilise every fifteen minute chunk of leisure time by writing something.

Okay, high time I went to sleep. Need to get up early to attend the puja at my brother's office. Happy Diwali, my dear readers!

Saturday, October 4, 2008

Colours

Jaane kitne rangon se rangi ye zindagi
Har rang kuch nayaa lagta hai
Ek hi rang ko alag nazariye se dekhiye
To wohi rang koi doosraa lagta hai

Saturday, September 20, 2008

A Wish

Kaale baadalon ke beech se bhi
Jahaan aap ho wahaan suraj ki kirane pahunch jaaye
Andhere raaston mein bhi
Aapko hamesha roshni nazar aa jaaye
Aap jin raaston pe chalo
Wo sadaa roshni se jagmagaaye
Zindagi ki har khushi aapki aankhon mein ho
Aapka har aansoo humein mil jaaye

Monday, September 8, 2008

Khul Ke Muskuraa Le

Khul ke muskuraa le aaj
Kal ya muskaan mile na mile
Jo dil mein hai wo gaa le aaj
Kal ye geet mile na mile
Pankh phaila ke ud le aaj
Kal ye aasmaan mile na mile
Jo aankhon mein hai wo sapna poora kar le aaj
Kal ye samaa mile na mile

Sunday, September 7, 2008

Aapki Mohobbat...

Kisi ko aapki mohobbat ne khushiyaan de di
Koi aapki yaadon ko dil se lagaa ke ro raha hai
Kisi ki duniya bas gayi hai aapke aane se
Koi aapko kho kar apni har khushi kho raha hai

Tum Jo Door Chale Gaye

Tum jo door chale gaye
To dil ki dhadkan jaise ruk jaane lagi
Har lamha jo tumse door reh ke bitaaya
Usme bas tumhaari hi yaad aane lagi
Ye jaanta hai dil ki tum hamaare na ho sakoge
Phir bhi tumhaari hi chaahat humein khwaab dikhaane lagi

Humne Hamesha Tumhaare Hi Paas Hona Chaaha

Jab bhi khushi mili to tumhi ko gale laga ke hasna chaaha
Gham mein tumhaare hi kandhe pe rona chaaha
Tum kabhi bahut door the humse, kabhi is dil se
Humne hamesha tumhaare hi paas hona chaaha

Zindagi chaahe in hoton ko hasi de ya in aankhon ko aansoo
Har jazbaat mein, har ehsaas mein tumhi ko paaya
Tum chahe saath mein baithe ho ya meelon door
In dhadkanon mein, in yaadon mein bas tumhi ko paaya

Saturday, September 6, 2008

Sukoon...

Bheed main tanhaai milti hai yahaan
Akelepan mein sukoon nahin milta
Dhoondhne se sab kuch mil jaata hai
Apne andar chain nahin milta
Dard mein beh jaate hain kitne aansoo in aankhon se
Dard ko bahaa de, aisa ek aansoo nahin milta

Wednesday, August 27, 2008

Zindagi Ki Raahon Mein Aap Mile Is Tarah

Zindagi ki raahon mein aap mile is tarah
Ki hamaare hoton ki muskaan ban gaye
Har lamhe mein samaa gaye is qadar
Kabhi hamara dil kabhi jaan ban gaye
Dil ki dhadkanein aapko dekh kar qayam thi
Aur phir aap is dil se anjaan ban gaye

Sunday, August 24, 2008

Khwaab Ban Ke Kabhi...

Khwaab ban ke kabhi in aankhon mein samaa jaate ho
Aur neendein udaa le jaate ho kabhi
Kabhi muskuraane ki wajah ban jaate ho
Aankhon mein aansoo de jaate ho kabhi

Dil mein aap is qadar samaaye ho
Zindagi ka hissa ban jaao kabhi
Aapse hum mohobbat na karein to kya karein
Ye humein aap bata jaao kabhi

Saturday, August 16, 2008

Teri Chaahat

Teri chaahat aise samaai is dil mein
Ke aur kuch chaahne ki chaahat na rahi
Teri mohabbat aise aayi zindagi mein
Ke ab zindagi se bhi mohabbat na rahi

Sunday, August 10, 2008

Is Tarah Mohobbat Hui Aapse

Is tarah mohobbat hui aapse
Ke phir kisi ko dil mein basaa na sake
Aap humse door kya gaye
Hum kisi ko bhi paas bulaa na sake

Hum Aapki Khushi Mein Muskuraa Lenge

Ye zindagi humein har kadam pe dard bhi de to kya
Hum aapki khushi mein muskuraa lenge
Har ek pal mein aansoo bhi mile to kya
Aapki hansi ko apna jahaan banaa lenge

Sunday, July 27, 2008

Aapki Zindagi Mein To Koi Jagah Hogi Humari...

Aapke dil mein na sahi
Zindagi mein to koi jagah hogi humari
Mann mein na sahi
Aankhon mein to koi tasveer hogi humari

Aapke hoton ki muskaan jis mein humari har khushi hai
Kabhi to wo muskaan humari wajah se hogi
Aapke dil ki khushi jis se roshan duniya hai humari
Kabhi to wo khushi humari wajah se hogi